Welcome to Roots2India Sign in | Join
Home Desi Corner Career Blogs
 

Patriotic Songs, Articles

Jhanda uncha rahei humara

Rashtriya Jhanda Abhinandan - Jhanda uncha rahei humara

Vijayi vishwa tiranga pyaara
Jhanda uncha rahei(n) humara
Sadaa shakti sarsaane waala,
Prem sudha barsaane waala,
Veero ko harshaane waala,

Maatru bhoomi ka tan-man saara,
Jhanda uncha rahei(n) humara.

Swatantra ke bheeshan run mein,
Lakhkar josh badhein
kshan-kshan mein,
Kaape shatru dekh kar man mein,

Mit jaye bhay sankat saara
Jhanda uncha rahei(n) humaara.

Is zande ke neeche nirbhay,
Rahei(n) swaadheen
hum avichal nishchay.
Bolo Bhaarat maata ki jay.

Swatantrata ho dhyey humara
Jhanda uncha rahei(n) humaara.

Aao, pyaare veero! Aao,
Desh- dharm par bali-bali jao
Ek saath sab mil kar gaao,

Pyaara Bhaarat desh humaara,
Jhanda uncha rahei(n) humaara.

Iski shaan na jaane paaye,
Chaahei(n) jaan bhale hi jaye,
Vishwa vijay karke dikhlaaye,

Tab hove praan poorna humaara
Jhanda uncha rahei(n) humaara,
Vijayi vishwa tiranga pyaara.

 

Published Wednesday, June 20, 2007 3:40 PM by dchadha
Filed under: ,

Comments

No Comments
Anonymous comments are disabled
  copyright @2007 Roots2India.com
Privacy Policy   Terms & Conditions   Link to us